mohabbat  meñ  ārām  sab  chāhte  haiñ
magar  hazrat-e-'dāġh'  kab  chāhte  haiñ
ḳhatā  kyā  hai  un  kī  jo  us  but  ko  chāhā
ḳhudā  chāhtā  hai  to  sab  chāhte  haiñ
vahī  un  kā  matlūb  o  mahbūb  Thahrā
bajā  hai  jo  us  kī  talab  chāhte  haiñ
magar  ālam-e-yās  meñ  tañg  aa  kar
ye  sāmān-e-āfat  ajab  chāhte  haiñ
ajal  kī  duā  har  ghaḌī  māñgte  haiñ
ġham-o-dard-o-rañj-o-ta.ab  chāhte  haiñ
na  tafrīh-e-āsā.ish-e-dil  kī  ḳhvāhish
na  sāmān-e-aish-o-tarab  chāhte  haiñ
qayāmat  bapā  ho  nuzūl-e-balā  ho
yahī  āj-kal  roz  o  shab  chāhte  haiñ
na  māshūq-e-farḳhār  se  un  ko  matlab
na  ye  jām-e-bintul-inab  chāhte  haiñ
na  jannat  kī  hasrat  na  hūroñ  kī  parvā
na  koī  ḳhushī  kā  sabab  chāhte  haiñ
nirālī  tamannā  hai  ahl-e-karam  se
sitam  chāhte  haiñ  ġhazab  chāhte  haiñ
na  ho  koī  āgāh  rāz-e-nihāñ  se
ḳhamoshī  ko  ye  mohr-e-lab  chāhte  haiñ
ḳhudā  un  kī  chāhat  se  mahfūz  rakkhe
ye  āzār  bhī  muntaḳhab  chāhte  haiñ
ġham-e-ishq  meñ  'dāġh'  majbūr  ho  kar
kabhī  jo  na  chāhā  vo  ab  chāhte  haiñ