jāgte  din  kī  galī  meñ  raat  āñkheñ  mal  rahī  hai
vaqt  guzrā  jā  rahā  hai  dhuup  chhat  se  Tal  rahī  hai
ik  libās-e-fāḳhira  hai  surḳh  ġharqābī  mahal  hai
kuchh  purānī  ho  ga.ī  hai  par  kahānī  chal  rahī  hai
ik  sitāra  saaz  āñkhoñ  ke  kināre  bas  rahā  hai
ik  mohabbat  naam  kī  laḌkī  badan  meñ  pal  rahī  hai
paas  thā  khoyā  nahīñ  hai  jo  na  thā  ab  bhī  nahīñ  hai
umr  bhar  phir  kyuuñ  tabī.at  muztarib  be-kal  rahī  hai
aanā  jaanā  saañs  kā  kyā  vasl  se  mashrūt  hai
tū  chale  to  tham  rahī  hai  tū  ruke  to  chal  rahī  hai
zard-rū  vahshat-zada  bhaTkī  huī  vīrān  sī
zindagī  ik  shaam  hai  aur  shaam  ban  meñ  Dhal  rahī  hai