be-ḳhayālī  meñ  kahā  thā  ki  shanāsā.ī  nahīñ
zindagī  ruuTh  ga.ī  lauT  ke  phir  aa.ī  nahīñ
jo  samajhnā  hī  na  chāhe  use  samjhā.ī  nahīñ
jo  bhī  ik  baar  kahī  baat  vo  dohrā.ī  nahīñ
husn  saada  hai  tirā  maiñ  bhī  bahut  aam  sī  huuñ
merī  āñkhoñ  meñ  kisī  niil  kī  gahrā.ī  nahīñ
merā  hissa  mujhe  ḳhāmoshī  se  de  detā  hai
dard  ke  aage  hathelī  kabhī  phailā.ī  nahīñ
apne  afkār  liye  pahlū-nashīñ  ho  ke  rahā
dil  se  darvesh  ne  duniyā  tirī  apnā.ī  nahīñ
shab  ke  tārīk  laboñ  par  hai  ka.ī  saal  kī  chup
ḳhud  se  nārāz  hai  itnī  kabhī  muskā.ī  nahīñ
baas  phūloñ  kī  churā  lī  hai  havāoñ  ne  magar
jo  kalī  yaad  kī  terī  hai  vo  murjhā.ī  nahīñ
aag  ye  donoñ  taraf  kyuuñ  na  barābar  sī  lage
haa.e  vo  ishq  hī  kyā  jis  meñ  pazīrā.ī  nahīñ
be-irāda  bhī  koī  kaam  ta.attul  na  paḌā
bā-irāda  thī  mulāqāt  kī  shab  aa.ī  nahīñ