tū  harf-e-āḳhirī  mirā  qissa  tamām  hai
tere  baġhair  zindagī  karnā  harām  hai
karne  haiñ  tere  jism  pe  ik  baar  dastaḳhat
taaki  ḳhudā  se  kah  sakūñ  tū  mere  naam  hai
hotā  hai  guftugū  meñ  bahut  baar  tazkira
ya.anī  havā  charāġh  kā  takiya-kalām  hai
pahle-pahal  milī  thī  hameñ  shiddatoñ  kī  dhuup
ab  yuuñ  hai  rābte  kī  sarā.e  meñ  shaam  hai
āḳhir  meñ  bas  nishāñ  haiñ  'sahar'  kuchh  savāliya
phir  is  ke  ba.ad  dāstāñ  kā  iḳhtitām  hai