Shahid Mahuli

bujhe bujhe se charaghon se silsila paya

Shahid Mahuli

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1943

bujhe bujhe se charāġhoñ se silsila paayā

hujūm-e-yās meñ bhaTke to rāsta paayā

kisī ḳhayāl meñ ubhrā umiid chehra

kisī umiid meñ partav ḳhayāl paayā

na jaane kitne gharoñdoñ ko TūTte dekhā

kisī khañDar meñ tamannā naqsh-e-pā paayā

tamām raat nayā but tarāshte guzrī

huī jo sub.h to us but ko TūTtā paayā

qadam qadam pe mile yuuñ to qahqahe bikhre

darūn-e-jism koī shaḳhs chīḳhtā paayā

tilism TuuT gayā dhund chhaT ga.ī 'shāhid'

kahīñ pe Thahr ke socheñ ki ham ne kyā paayā

Top Urdushayar.com