Mumtaz Rashid

faza mein bikhre hue rang jhilmilate kya

Mumtaz Rashid

fazā meñ bikhre hue rañg jhilmilāte kyā
vahī havā thī charāġhoñ ko phir jalāte kyā
shikasta jism thā sūraj kā qahr jhele hue
baraste abr ke chhīñTe hameñ jagāte kyā
tamām daur kī lahreñ thiiñ ḳhvāb kī sūrat
bajā thī pyaas sarāboñ meñ Duub jaate kyā
har ek lamha thā apne hī aks se dhundlā
guzarte vaqt ko ham aa.ina dikhāte kyā
laboñ pe jam ga.ī dīvār-o-dar kī ḳhāmoshī
tamām shahr thā vīrāñ sadā lagāte kyā
yahāñ bhī kis ko thī ummīd paar utarne kī
nadī jo raah meñ miltī to lauT aate kyā
bhaTak rahe haiñ zamāne se ġham ke sahrā meñ
ab aur us kī sadā kā fareb khāte kyā
tamām umr guzārī ravāñ-davāñ 'rāshid'
the barg-e-ḳhushk kahīñ par qadam jamāte kyā
Top Urdushayar.com