Mumtaz Rashid

kuchh to mushkil mein kaam aate hain

Mumtaz Rashid

kuchh to mushkil meñ kaam aate haiñ

kuchh faqat mushkileñ baḌhāte haiñ

apne ehsān jo jatāte haiñ

apnā martaba ghaTāte haiñ

sabr se intizār karnā siikh

achchhe din aate aate aate haiñ

fāsloñ se gurez kyā karnā

fāsle qurbateñ baḌhāte haiñ

kuchh to bār-e-nazar bhī hote haiñ

saare manzar kahāñ lubhāte haiñ

vo jo rahte haiñ be-havās aksar

hādsoñ ko vahī bulāte haiñ

koī ustād kyā sikhā.egā

jo sabaq sānehe sikhāte haiñ

jab vo milne se kuchh gurez kare

vāhime dil meñ kasmasāte haiñ

saarī yādeñ to ḳhush-gavār nahiñ

talḳh lamhe bhī yaad aate haiñ

dil meñ hotā hai vajd aalam

taan vo dal se jab lagāte haiñ

yaad ik hiir satātī hai

bāñsurī jab kabhī bajāte haiñ

naġhme gaate the jo masarrat ke

aaj kal marsiye sunāte haiñ

baat baat ise kahiye

qahqahe dard-o-ġham miTāte haiñ

kam ab rah ga.e haiñ jo 'rāshid'

dard mahfileñ sajāte haiñ

Top Urdushayar.com