kār-e-dīñ  us  but  ke  hāthoñ  haa.e  abtar  ho  gayā
jis  musalmāñ  ne  use  dekhā  vo  kāfar  ho  gayā
dilbaroñ  ke  naqsh-e-pā  meñ  hai  sadaf  kā  sā  asar
jo  mirā  aañsū  girā  us  meñ  so  gauhar  ho  gayā
kyā  badan  hogā  ki  jis  ke  kholte  jaame  kā  band
barg-e-gul  kī  tarah  har  nāḳhun  mo.attar  ho  gayā
aañkh  se  nikle  pa  aañsū  kā  ḳhudā  hāfiz  'yaqīñ'
ghar  se  jo  bāhar  gayā  laḌkā  so  abtar  ho  gayā