Inamullah Khan Yaqeen

chaman mein mujhse diwane ke le jaane se kya hasil

Inamullah Khan Yaqeen

Delhi, India

1727-1755

chaman meñ mujh se dīvāne ke le jaane se kyā hāsil

dikhā kar gul junūñ ko shor meñ laane se kyā hāsil

jinheñ bāloñ phāñsī vo hargiz nahīñ sakte

jo zulfoñ meñ phañsāyā us ke ġham khāne se kyā hāsil

hamāre dard daarū agar kuchh hai to daarū hai

ye sab kuchh sun ke saaqī baat jaane se kyā hāsil

nigah tere jaise aks ā.īne chīnī meñ

ye sab bāteñ samajh kar jaan sharmāne se kyā hāsil

na vo dil hai na vo shor-e-junūñ hai sair-e-gul mat kar

rafīqoñ bin 'yaqīñ' gulzār meñ jaane se kyā hāsil

Top Urdushayar.com