Inamullah Khan Yaqeen

shahr mein tha na tere husn ka ye shor kabhu

Inamullah Khan Yaqeen

Delhi, India

1727-1755
shahr meñ thā na tire husn kā ye shor kabhū
misr is jins se itnā na thā māmūr kabhū
ishq meñ daad na chāho ki sunā ham ne nahīñ
adl o insāf kā is mulk meñ dastūr kabhū
fikr marham kā mire vāste mat kar nāseh
ḳhuub hotā nahīñ is ishq kā nāsūr kabhū
go na kar vaada vafā de na mujhe us kā javāb
mujh se milnā bhī sajan hai tujhe manzūr kabhū
apnī bedardī kī saugand hai tujh ko ai marg
tū ne dekhā hai 'yaqīñ' sā koī ranjūr kabhū
Top Urdushayar.com