Inamullah Khan Yaqeen

misr mein husn ki wo garmi-e-bazar kahan

Inamullah Khan Yaqeen

Delhi, India

1727-1755
misr meñ husn kī vo garmi-e-bāzār kahāñ
jins to hai pe zuleḳhā sā ḳharīdār kahāñ
faiz hotā hai makīñ par na makāñ par nāzil
hai vahī tuur vale shola-e-dīdār kahāñ
aish o rāhat ke talāshī haiñ ye saare bedard
ek ham ko hai yahī fikr ki āzār kahāñ
ishq agar kījiye dil kījiye kis se ḳhālī
dard o ġham kam nahīñ is daur meñ ġham-ḳhvār kahāñ
qaidī us silsila-e-zulf ke ab kam haiñ 'yaqīñ'
haiñ dil-āzār bahut jān-giraftār kahāñ
Top Urdushayar.com