misr  meñ  husn  kī  vo  garmi-e-bāzār  kahāñ
jins  to  hai  pe  zuleḳhā  sā  ḳharīdār  kahāñ
faiz  hotā  hai  makīñ  par  na  makāñ  par  nāzil
hai  vahī  tuur  vale  shola-e-dīdār  kahāñ
aish  o  rāhat  ke  talāshī  haiñ  ye  saare  bedard
ek  ham  ko  hai  yahī  fikr  ki  āzār  kahāñ
ishq  agar  kījiye  dil  kījiye  kis  se  ḳhālī
dard  o  ġham  kam  nahīñ  is  daur  meñ  ġham-ḳhvār  kahāñ
qaidī  us  silsila-e-zulf  ke  ab  kam  haiñ  'yaqīñ'
haiñ  dil-āzār  bahut  jān-giraftār  kahāñ