dam  ajnabī  sadāoñ  kā  bharte  ho  sāhibo
har  lamha  apnī  jaañ  se  guzarte  ho  sāhibo
kyā  jaane  kyā  hai  baat  ki  har  samt  bhiiḌ  meñ
apnā  hī  chehra  dekh  ke  Darte  ho  sāhibo
tum  bhī  ajiib  log  ho  kāñToñ  kī  raah  se
kaise  lahūluhān  guzarte  ho  sāhibo
ik  ajnabī  sī  aag  hai  jal  ke  is  meñ  aaj
kis  zindagī  kī  khoj  meñ  marte  ho  sāhibo
kyā  jaane  kis  guhar  kī  tumheñ  justujū  hai  kyuuñ
dariyāoñ  meñ  lahū  ke  utarte  ho  sāhibo
itnā  bhī  phūñk  phūñk  ke  rakhte  nahīñ  qadam
ab  kunj-e-āfiyat  se  bhī  Darte  ho  sāhibo
ab  ye  zamīn  bhī  na  ḳhalāoñ  kī  ho  shikār
kyuuñ  apne  āsmāñ  se  utre  ho  sāhibo