Aftab Shamsi

asir-e-jism hun darwaza toD Dale koi

Aftab Shamsi

Pilibhit, Uttar pradesh, India

1930
asīr-e-jism huuñ darvāza toḌ Daale koī
girā paḌā huuñ kuñ.eñ meñ mujhe nikāle koī
maiñ apne aap meñ utrā khaḌā huuñ sadiyoñ se
qarīb aa ke mire merī thaah pā le koī
maiñ jañgaloñ meñ darindoñ ke saath rahtā rahā
ye ḳhauf hai ki ab insāñ na aa ke khā le koī
shikasta kashtī ke taḳhte pe so rahā huuñ maiñ
thapeḌā maujoñ kā aa kar mujhe jagā le koī
dahān-e-zaḳhm talak khiñch ke aa chukā hai ab
maiñ muntazir huuñ ye zahrāb chuus Daale koī
zamīn pyāsī hai tan meñ lahū nahīñ baaqī
hamārā bojh bahut kam hai ab uThā le koī
yaqīñ nahīñ hai kisī ko mire bikharne kā
kasīf zehnoñ ke kar jaa.e saaf jaale koī
Top Urdushayar.com