Aftab Shamsi

ju-e-rawan hun Thahra samundar nahin hun main

Aftab Shamsi

Pilibhit, Uttar pradesh, India

1930
jū-e-ravāñ huuñ Thahrā samundar nahīñ huuñ maiñ
jo nasb ho chukā ho vo patthar nahīñ huuñ maiñ
sūraj kā qahr dekhiye mujh par ki aaj tak
ḳhud apne saa.e ke bhī barābar nahīñ huuñ maiñ
maiñ pighlā jā rahā huuñ badan ke alaav meñ
aur kah rahā huuñ mom kā paikar nahīñ huuñ maiñ
miTTī safar kī pairoñ meñ āñkhoñ meñ ek ḳhvāb
Thahrūñ kahāñ ki miil kā patthar nahīñ huuñ maiñ
din bhar kī bhūkī pyāsī chalī aa rahī hai raat
kis dil se uzr kar duuñ ki ghar par nahīñ huuñ maiñ
būḌhī rivāyatoñ se bhare ek shahr meñ
yuuñ bas gayā huuñ jaise ki be-ghar nahīñ huuñ maiñ
Top Urdushayar.com