Aftab Shamsi

TuTa hua aaina jo raste mein paDa tha

Aftab Shamsi

Pilibhit, Uttar pradesh, India

1930
TuuTā huā ā.īna jo raste meñ paḌā thā
sūraj kī tarah merī nigāhoñ meñ chubhā thā
naam apnā hī maiñ sab se khaḌā pūchh rahā thā
kuchh merī samajh meñ nahīñ aayā ki ye kyā thā
ā.ankhoñ ke darīche nazar aate the muqaffal
aur zehn ke kamre meñ dhuāñ phail rahā thā
jaatī huī bārāt ne ik lamha ThiThak kar
Thahrī huī ik laash pe mātam bhī kiyā thā
maazī nahīñ martā hai yaqīñ aa gayā mujh ko
biitā huā har pal vo liye saath khaḌā thā
tūfān kī zad meñ the ḳhayāloñ ke safīne
maiñ ulTā samundar kī taraf bhaag rahā thā
Top Urdushayar.com