Aftab Shamsi

TuTa hua aaina jo raste mein paDa tha

Aftab Shamsi

Pilibhit, Uttar pradesh, India

1930

TuuTā huā ā.īna jo raste meñ paḌā thā

sūraj tarah merī nigāhoñ meñ chubhā thā

naam apnā maiñ sab se khaḌā pūchh rahā thā

kuchh merī samajh meñ nahīñ aayā ki ye kyā thā

ā.ankhoñ ke darīche nazar aate the muqaffal

aur zehn ke kamre meñ dhuāñ phail rahā thā

jaatī huī bārāt ne ik lamha ThiThak kar

Thahrī huī ik laash pe mātam bhī kiyā thā

maazī nahīñ martā hai yaqīñ aa gayā mujh ko

biitā huā har pal vo liye saath khaḌā thā

tūfān zad meñ the ḳhayāloñ ke safīne

maiñ ulTā samundar taraf bhaag rahā thā

Top Urdushayar.com