jab  ki  mānūs  thā  ālām  ke  girdāb  se  bhī
mil  gayā  zahr-e-tamasḳhur  ka.ī  ahbāb  se  bhī
mere  riste  hue  zaḳhmoñ  kā  mudāvā  na  huā
ye  shikāyat  hai  tire  shahr  ke  ādāb  se  bhī
ab  unheñ  aañkh  kī  putlī  meñ  chhupānā  hogā
daaġh  jo  dhul  na  sake  chashma-e-mahtāb  se  bhī
koī  to  zaḳhm  mirā  sāz-e-takallum  chheḌe
koī  to  baat  chale  dīda-e-pur-āb  se  bhī
chashm-e-be-ḳhvāb  ke  ḳhvāboñ  kī  jo  ta.abīr  banā
vahī  dikhlā  gayā  āñkhoñ  ko  ka.ī  ḳhvāb  se  bhī
merā  kyā  zikr  hai  gulshan  bhī  hai  maġhmūm  'ḳhayāl'
ho  ga.e  aap  ḳhafā  gosha-e-shādāb  se  bhī