Aanis Moin

milan ki saat ko is tarah se amar kiya hai

Aanis Moin

Multan, Punjab, Pakistan

1965-1992
milan kī saa.at ko is tarah se amar kiyā hai
tumhārī yādoñ ke saath tanhā safar kiyā hai
sunā hai us rut ko dekh kar tum bhī ro paḌe the
sunā hai bārish ne pattharoñ par asar kiyā hai
salīb kā baar bhī uThāo tamām jīvan
ye lab-kushā.ī kā jurm tum ne agar kiyā hai
tumheñ ḳhabar thī haqīqateñ talḳh haiñ jabhī to!
tumhārī āñkhoñ ne ḳhvāb ko mo'atabar kiyā hai
ghuTan baḌhī hai to phir usī ko sadā.eñ dī haiñ
ki jis havā ne har ik shajar be-samar kiyā hai
hai tere andar basī huī ek aur duniyā
magar kabhī tū ne itnā lambā safar kiyā hai
mire hī dam se to raunaqeñ tere shahr meñ thiiñ
mire hī qadmoñ ne dasht ko rah-guzar kiyā hai
tujhe ḳhabar kyā mire laboñ kī ḳhamoshiyoñ ne!
tire fasāne ko kis qadar muḳhtasar kiyā hai
bahut sī āñkhoñ meñ tīrgī ghar banā chukī hai
bahut sī āñkhoñ ne intizār-e-sahar kiyā hai
Top Urdushayar.com