mohabbat  mujh  se  kahtī  thī  zarā  hoshyār  dāman  se
junūñ  āvāz  detā  thā  vo  uljhe  ḳhaar  dāman  se
mire  ashk-e-musalsal  rā.egāñ  hone  nahīñ  detā
bahut  nazdīk  rahtā  hai  ḳhayāl-e-yār  dāman  se
sambhal  o  rahrav-e-rāh-e-talab  manzil  na  kho  jaa.e
lipaTtā  hai  ġhubār-e-rāh  nā-hamvār  dāman  se
jabīñ-sā.ī  kahāñ  kī  kis  kā  sajda  kuchh  jo  qaabū  ho
chhupā  kar  baiTh  jā.ūñ  āstān-e-yār  dāman  se
havā  dete  rahe  dānista  dīvāna  samajh  kar  vo
junūñ  hotā  rahā  akasr  mirā  bedār  dāman  se
ubhartī  jaatī  hai  dāman  pe  ashk-e-ḳhūñ  kī  rañgīnī
numāyāñ  hotā  jaatā  hai  nayā  gulzār  dāman  se
use  tūfāñ  kahūñ  yā  jān-e-sāhil  kyā  kahūñ  'shāhid'
na  ubhre  jazb  ho  kar  ashk-e-dariyā-bār  dāman  se