junūn-e-shauq  kī  rāhoñ  meñ  jab  apne  qadam  nikle
nigār-e-husn  kī  zulfoñ  ke  saare  pech-o-ḳham  nikle
ye  be-nūrī  mire  ghar  ke  ujāloñ  kī  ma.āz-allāh
agar  dekheñ  añdhere  to  añdheroñ  kā  bhī  dam  nikle
ubhāre  jā.iye  jab  tak  na  ubhre  naqsh  kāġhaz  par
tarāshe  jā.iye  jab  tak  na  patthar  se  sanam  nikle
nahīñ  dekhā  thā  jab  tak  ḳhud  ko  samjhe  the  na  jaane  kyā
shu.ūr-e-ishq  le  kar  ā.ina-ḳhāne  se  ham  nikle
ye  hasrat  hai  sajā  luuñ  apne  hoñToñ  par  hañsī  meñ  bhī
ghaḌī  bhar  ko  mire  dil  se  agar  ehsās-e-ġham  nikle
farāz-e-arsh  tak  kaise  pahuñchte  vo  bhalā  'shāhid'
fazā-e-tūr  kī  had  se  na  aage  jo  qadam  nikle