sāz-e-dil  sāz-e-junūñ  sāz-e-vafā  kuchh  bhī  nahīñ
vo  na  hoñ  paas  to  jiine  kā  maza  kuchh  bhī  nahīñ
jiine  vāloñ  ke  liye  is  kī  baḌī  qīmat  hai
marne  vāloñ  ke  liye  āb-e-baqā  kuchh  bhī  nahīñ
maslahat  kahtī  hai  logoñ  se  ki  mere  ghar  meñ
is  tarah  aag  lagī  hai  ki  jalā  kuchh  bhī  nahīñ
un  ke  hāthoñ  meñ  hai  taqdīr  jahāñ  dīvāne
tere  hāthoñ  meñ  lakīroñ  ke  sivā  kuchh  bhī  nahīñ
be-ḳhatā  aise  bhī  dekhe  haiñ  jahāñ  meñ  tum  ne
hai  ḳhatā  jin  kā  ye  kahnā  ki  ḳhatā  kuchh  bhī  nahīñ
jab  se  majrūh  huī  lazzat-e-ehsās-e-alam
dard  meñ  ġham  meñ  taḌapne  meñ  mazā  kuchh  bhī  nahīñ
kyā  batā.eñ  ki  ġham-e-dil  ke  alāva  'shāhid'
ham  ko  is  shahr-e-nigārāñ  se  milā  kuchh  bhī  nahīñ