Azeez Adil

haalat ki masnad se utar jaenge ek din

Azeez Adil

Mardan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1977
hālāt kī masnad se utar jā.eñge ik din
arzānī-e-vahshat meñ hī mar jā.eñge ik din
yuuñ diid ko apnī hameñ tarsāo na varna
mar jā.eñge mar jā.eñge mar jā.eñge ik din
ye aas bahut hai ki tire dast sitam se
jitne bhī mile ghaav haiñ bhar jā.eñge ik din
har shaam jo aa jaate haiñ mahfil ko sajāne
ye dost hamāre bhī bikhar jā.eñge ik din
ye phuul jo gulshan meñ tar-o-tāza khile haiñ
patjhaḌ kī havāoñ se bikhar jā.eñge ik din
ham ahl-e-mohabbat sabab-e-shām-o-sahar haiñ
ham dil se zamāne ke utar jā.eñge ik din
ham ḳhvāb-nigārāñ haiñ sadā zinda raheñge
kahne ko agar jaañ se guzar jā.eñge ik din
Top Urdushayar.com