Azeez Adil

tum kabhi aable pairon pe saja kar dekho

Azeez Adil

Mardan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1977
tum kabhī aable pairoñ pe sajā kar dekho
āgahī miltī hai sahrāoñ meñ jā kar dekho
arsa-e-ḳhvāb ke asrār khuleñge tum par
apnī āvāz meñ kuchh soz rachā kar dekho
shāḳh-dar-shāḳh qayāmat kā fuġhāñ uTThegā
phuul par baiThī huī titlī uḌā kar dekho
kis qadar hotā hai tārāj sukūn-e-gulshan
phuul se tū zarā titlī ko girā kar dekho
rad nahīñ hotī kabhī sunte yahī aa.e haiñ
chāñdnī raat meñ milne kī duā kar dekho
muntazir kaun khaḌā kaun paḌā hai dar par
tum laTaktī huī chilman ko haTā kar dekho
ban bhī saktā hai mohabbat kā fasāna 'ādil'
tum use rakhnā sadā dil meñ chhupā kar dekho
Top Urdushayar.com