ik  saaya  mere  jaisā  hai
jo  merā  pīchhā  kartā  hai
ab  shor  se  aajiz  sannāTā
kānoñ  meñ  bāteñ  kartā  hai
ik  moḌ  hai  raste  ke  aage
us  moḌ  ke  aage  rasta  hai
maiñ  ek  Thikāna  DhūñDtā  huuñ
jo  sahrā  hai  na  hī  dariyā  hai
ik  ḳhvāb  kī  vahshat  hai  jis  meñ
ḳhud  ko  hī  marte  dekhā  hai
ye  qissa  jhuuT  sahī  lekin
sunñe  meñ  achchhā  lagtā  hai