jalva-gar  sochoñ  meñ  haiñ  kuchh  āgahī  ke  āftāb
raushnī  se  likh  rahā  huuñ  zindagānī  kā  nisāb
pattharoñ  se  kab  talak  bāñdhegī  ummīd-e-vafā
zindagī  dekhegī  kab  tak  jāgtī  āñkhoñ  se  ḳhvāb
kyā  ḳhabar  vo  kaun  haiñ  roz-e-jazā  ke  muntazir
chashm-e-bīnā  ke  liye  har  roz  hai  roz-e-hisāb
ḳhaak  zinda  gar  kare  husn-e-azal  kī  aarzū
darmiyāñ  rahtā  nahīñ  phir  koī  bhī  tār-e-hijāb
jānte  haiñ  vo  husūl-e-māya  kī  har  ik  sabīl
hifz  haiñ  sajjādgāñ  ko  ḳhānqāhī  ke  nisāb
inqalāb-e-sub.h  kī  kuchh  kam  nahīñ  ye  bhī  dalīl
pattharoñ  ko  de  rahe  haiñ  aa.ine  khul  kar  javāb