Zaheer Dehlvi

hae kafir tere hamrah adu aata hai

Zaheer Dehlvi

Delhi, India

1825-1911

haa.e kāfir tire hamrāh adū aatā hai

kyā kahūñ paas ye terā hai ki aatā hai

nik.hat-e-itr meñ bas-bas ke jo aatā hai

apne hamrāh liye rashk aatā hai

nā-tavānī se nahīñ āh-o-fuġhāñ tāqat

naala tham tham ke mirā ta-ba-gulū aatā hai

chauñk paḌtā huuñ shab-e-vāda tire dhoke meñ

har qadam par yahī khaTkā hai ki aatā hai

duḳhtar-e-raz ke qadam tak to rasā.ī mālūm

mohtasib sañg-e-dar-e-mai-kada chhū aatā hai

zaḳhm-e-dil par kabhī Tāñkā na lagāyā tum ne

ham to samjhe the tumheñ ḳhuub rafū aatā hai

Top Urdushayar.com