dil  ko  āzār  lagā  vo  ki  chhupā  bhī  na  sakūñ
parda  vo  aa  ke  paḌā  hai  ki  uThā  bhī  na  sakūñ
mudda.ā  sāmne  un  ke  nahīñ  aatā  lab  tak
baat  bhī  kyā  ġham-e-dil  hai  ki  sunā  bhī  na  sakūñ
be-jagah  aañkh  laḌī  dekhiye  kyā  hotā  hai
aap  jā  bhī  na  sakūñ  un  ko  bulā  bhī  na  sakūñ
vo  dam-e-naz.a  mire  bahar-ayādat  aa.e
haal  kab  pūchhte  haiñ  jab  ki  sunā  bhī  na  sakūñ
zindagī  bhī  shab-e-hijrāñ  hai  ki  kaTtī  hī  nahīñ
maut  hai  kyā  tirā  aanā  ki  bulā  bhī  na  sakūñ
dam  hai  āñkhoñ  meñ  ise  jaan  meñ  lā.ūñ  kyūñkar
kab  vo  aa.e  ki  unheñ  haath  lagā  bhī  na  sakūñ
sharm-e-isyāñ  ne  jhukāyā  mirī  gardan  ko  'zahīr'
bojh  vo  aa  ke  paḌā  hai  ki  uThā  bhī  na  sakūñ