ik  ḳhalā  sā  hai  jidhar  dekho  idhar  kuchh  bhī  nahīñ
āsmāñ  kaun-o-makāñ  dīvār-o-dar  kuchh  bhī  nahīñ
baḌhtā  jaatā  hai  añdherā  jaise  jaadū  ho  koī
koī  paḌh  liije  duā  lekin  asar  kuchh  bhī  nahīñ
jism  par  hai  kaun  se  ifrīt  kā  saaya  savār
bhāgtā  hai  sar  se  dhaḌ  jaise  ki  sar  kuchh  bhī  nahīñ
har  nayā  rasta  nikaltā  hai  jo  manzil  ke  liye
ham  se  kahtā  hai  purānī  rahguzar  kuchh  bhī  nahīñ
ehtimām-e-zindagī  se  haiñ  ye  sab  naqsh  o  nigār
varna  ghar  kuchh  bhī  nahīñ  dīvār-o-dar  kuchh  bhī  nahīñ
ghar  meñ  apne  saath  jab  rakkhoge  'āmir'  dekhnā
jis  ko  tum  kahte  ho  ab  rashk-e-qamar  kuchh  bhī  nahīñ