kisī  ne  rakkhā  hai  bāzār  meñ  sajā  ke  mujhe
koī  ḳharīd  le  qīmat  mirī  chukā  ke  mujhe
usī  kī  yaad  ke  bartan  banā.e  jaatā  huuñ
vahī  jo  chhoḌ  gayā  chaak  par  ghumā  ke  mujhe
hai  mere  lafzoñ  ko  mujh  se  munāsibat  kitnī
maiñ  kaisā  naġhma  huuñ  pahchān  gungunā  ke  mujhe
maiñ  aisī  shāḳh  huuñ  jis  par  na  phūl-patte  haiñ
tū  dekh  letā  kabhī  kaash  muskurā  ke  mujhe
kaḌī  hai  dhuup  to  sūraj  se  kyā  gilā  kiije
yahāñ  to  chāñd  bhī  pesh  aayā  tamtamā  ke  mujhe
use  bhī  vaqt  kabhī  aa.ina  dikhā.egā
vo  aaj  ḳhush  hai  bahut  aa.ina  dikhā  ke  mujhe
qasīde  paḌhtā  huuñ  maiñ  us  kī  dil-navāzī  ke
jalīl  kartā  hai  aksar  jo  ghar  bulā  ke  mujhe