Pawan Kumar

kahin to intiha bhi ho kisi ke intizar ki

Pawan Kumar

kahīñ to intihā bhī ho kisī ke intizār

jiyeñge aur kab talak ye zindagī udhār

milegī fat.h shikast vaqt batā.egā

maiñ laḌ rahā huuñ zindagī se jañg ār-pār

bhaTak rahe the muddatoñ se ham bhī jism-o-jāñ liye

use bhī ek umr se talāsh thī shikār

samajh sake na ham kabhī kisī be-yaqīniyāñ

bharī huī thī aañkh meñ to dhuul e'tibār

junūñ havā taḌap huī ḳhalish huī ki ġham huā

ye daulateñ haiñ ishq ye ne.amateñ hai pyaar

qadam mire jam hue haiñ ek maqām par

vo khīñch kar chalā gayā lakīr yuuñ hisār

use kisī tarah kyuuñ batā rahe ho ai 'pavan'

misāl DhūñDte ho kyuuñ ḳhudā ke shāhkār

Top Urdushayar.com