na  pūchho  zīst-fasāna  tamām  hone  tak
duāoñ  tak  thī  sahar  aur  shaam  rone  tak
mujhe  bhī  ḳhud  na  thā  ehsās  apne  hone  kā
tirī  nigāh  meñ  apnā  maqām  khone  tak
har  ek  shaḳhs  hai  jab  gosht  nochne  vaalā
bachegā  kaun  yahāñ  nek-nām  hone  tak
chahār  samt  se  rahzan  kuchh  is  tarah  TuuTe
ki  jaise  fasl  kā  thā  ehtimām  bone  tak
batā  rahā  hai  abhī  tak  tirā  dhulā  dāman
ki  daaġh  bhī  haiñ  numāyāñ  tamām  dhone  tak
hazār  rañg-e-tamannā  hazār  pachhtāve
ajab  thā  zehn  meñ  ik  izhdihām  sone  tak
sunā  hai  ham  ne  bhī  āzād  thā  kabhī  'āmir'
kisī  kī  chaah  kā  lekin  ġhulām  hone  tak