jahāñ  jahāñ  hai  sahar  kā  aalam  vahīñ  vahīñ  raushnī  nahīñ  hai
hazār  sham.eñ  huiiñ  haiñ  raushan  magar  kahīñ  raushnī  nahīñ  hai
na  mujh  ko  bahkāo  in  ujāloñ  kī  mehr-afroz  rañgtoñ  se
fareb  hai  ye  kisī  kiran  kā  nahīñ  nahīñ  raushnī  nahīñ  hai
hamārā  zauq-e-nigāh  ab  tak  hai  gumrahī  kī  naqāb  oḌhe
ajab  tamāshā  hai  tere  jalvoñ  meñ  mah-jabīñ  raushnī  nahīñ  hai
jahāñ  pe  sūraj  chamak  rahā  hai  vahīñ  pe  zulmat  baras  rahī  hai
maiñ  kyuuñ  na  zulmat  se  pyaar  kar  luuñ  ki  dil-nashīñ  raushnī  nahīñ  hai
na.e  ujāle  udaas  rūheñ  na.e  savere  bujhe  hue  haiñ
ye  ek  dhokā  hai  raushnī  kā  dil-e-hazīñ  raushnī  nahīñ  hai
charāġh-e-ḳhufta  charāġh-e-raushan  se  jagmagātā  rahā  hamesha
maqām-e-hastī  ke  in  añdheroñ  pe  ḳhashmagīñ  raushnī  nahīñ  hai
baḌhe  haiñ  manzil  kī  samt  ham  bhī  shuā-e-'baḳht'-e-jamīl  le  kar
hameñ  taraddud  nahīñ  hai  koī  agar  kahīñ  raushnī  nahīñ  hai