chashm-e-junūñ  meñ  husn-e-salāsil  hai  be-qarār
kis  kī  galī  meñ  jashn-e-garebāñ  manā.eñ  ham
shāyad  kisī  kā  haath  baḌhe  ban  ke  mudda.ī
ilzām  kī  talāsh  meñ  dāman  sajā.eñ  ham
rauzan  banegā  dīda-e-yāqūb  ek  din
apne  liye  ḳhud  aap  hī  zindāñ  banā.eñ  ham
chhupne  lagī  hai  ziist  añdheroñ  kī  god  meñ
aao  to  phir  charāġh-e-havādis  jalā.eñ  ham
shahr-e-tarab  meñ  milte  haiñ  apne  bhī  naqsh-e-pā
aa.e  na  gar  yaqīn  to  aao  dikhā.eñ  ham
jalve  hī  Das  rahe  haiñ  shu.ūr-e-jamāl  ko
kis  ko  hadīs-e-vādī-e-aiman  sunā.eñ  ham
dasht-e-talab  ke  ḳhaar  bhī  dil  meñ  chubhoiye
phir  kaise  lab  pe  harf-e-taqāzā  na  laa.eñ  ham
uryāñ  kiyā  salīb  ne  ham  ko  bhī  apne  saath
sochā  thā  āsmān-e-chahārum  pe  jaa.eñ  ham
phir  garm  ret  uḌ  ke  chalī  bastiyoñ  kī  samt
mahmil-nashīñ  ko  DhūñDh  ke  sahrā  meñ  laa.eñ  ham
zahrāb  ban  chukā  hai  ye  ehsās-e-āgahī
ab  kis  ko  baḳht  dard  kā  darmāñ  banā.eñ  ham