Nazeer Qaisar

nind jab KHwab ko pukarti hai

Nazeer Qaisar

1945
niiñd jab ḳhvāb ko pukārtī hai
raat apnā libās utārtī hai
maiñ use kaise jiit saktā huuñ
vo mujhe apnā jism hārtī hai
maiñ diyā haath par utārtā huuñ
aur diye par vo lau utārtī hai
maiñ akelā use pukārtā thā
ab havā bhī use pukārtī hai
vo mire saath nīm-ḳhvābī meñ
raat kī tarah din guzārtī hai
kuchh to vo bhīgtī hai bārish meñ
kuchh havā bhī use sañvārtī hai
mom-battī sī uñgliyoñ ke saath
vo mirā bhīgā coat utārtī hai
mere hoñToñ kī tishnagī 'qaisar'
surḳhī lab se wip nikhārtī hai
Top Urdushayar.com