Nazeer Qaisar

meri aankhon ko meri shakl dikha de koi

Nazeer Qaisar

1945

merī āñkhoñ ko mirī shakl dikhā de koī

kaash mujh ko mirā ehsās dilā de koī

ġharaz is se nahīñ vo kaun hai kis bhes meñ hai

maiñ kahāñ par huuñ mujhe merā patā de koī

DhūñDhtā phirtā huuñ yuuñ apne qadmoñ ke nishāñ

jaise mujh ko mirī nazroñ se chhupā de koī

dil taḳhtī sar-e-bāzār liye phirtā huuñ

kaash is par tirī tasvīr banā de koī

yuuñ tujhe dekh ke chauñk uThtī haiñ soī yādeñ

jaise sannāTe meñ āvāz lagā de koī

dūsrī samt haiñ ḳhushbū ke ufuq sub.heñ

rañg ke kohar dīvār girā de koī

saañs roke hue baiThe haiñ makānoñ meñ makīñ

jaane kab aur kise aa ke sadā de koī

Top Urdushayar.com