Nazeer Qaisar

dil-tang hun makan ke andar paDa hua

Nazeer Qaisar

1945

dil-tañg huuñ makān ke andar paḌā huā

bāhar abad qufl hai dar par paḌā huā

mujh par garāñ guzartī hai merī sadā guuñj

chup huuñ durūn-e-gumbad-e-be-dar paḌā huā

mumkin jo ho to ek nazar muḌ ke dekh le

ik naqsh hai zamīn pe miT kar paḌā huā

maiñ nahīñ huuñ din ke bagūle ke saath saath

sūraj ke paañv meñ bhī hai chakkar paḌā huā

khul ga.ī hai aañkh to āvāz de ke dekh

ḳhāmosh kyuuñ hai shab samundar paḌā huā

baiThā huā huuñ chhup ke havā ke hisār meñ

har-samt hai ġhanīm lashkar paḌā huā

mujh ko havā.eñ chalne se pahle sameT lo

maiñ rahguzār meñ huuñ bikhar kar paḌā huā

jaise ho koī mere ta.āqub meñ rāt-din

apne vajūd hai mujhe Dar paḌā huā

maiñ chhuptā phir rahā huuñ ḳhud apnī zaat se

'qaisar' mirā azaab hai mujh par paḌā huā

Top Urdushayar.com