naqsh  dil  se  na  miTā  zarra  barābar  us  kā
sabt  hai  aaj  bhī  dīvār  pe  paikar  us  kā
maiñ  ne  sāhil  se  use  Dūbte  dekhā  thā  faqat
mujhe  ġharqāb  karegā  yahī  manzar  us  kā
aks  bhī  dīda-e-qātil  meñ  lahū  ban  ke  rahā
qatl  ho  kar  bhī  jamā  rañg  barābar  us  kā
karb-e-tanhā.ī  zarā  ruuh  se  nikle  to  sahī
muntazir  hai  koī  is  dasht  ke  bāhar  us  kā
jā  chukā  vo  to  samundar  kī  tahoñ  meñ  'mid.hat'
baiTh  kar  ret  pe  ab  naam  likhā  kar  us  kā