maiñ  ne  jo  kuchh  kho  diyā  ab  is  ko  pā  saktā  nahīñ
dil  se  ye  ehsās  bhī  lekin  miTā  saktā  nahīñ
vo  kanār-e-āb  baiThe  chāñd  ugte  dekhnā
jhiil  kī  tah  se  vo  manzar  ab  ugā  saktā  nahīñ
sab  dar-o-dīvār  us  ke  lams  ke  maqrūz  haiñ
apne  ghar  se  us  kī  tasvīreñ  miTā  saktā  nahīñ
mat  milo  is  se  tumhārī  baat  maiñ  ne  maan  lī
us  ke  ġham  meñ  chaar  aañsū  bhī  bahā  saktā  nahīñ
shahar-bhar  meñ  phuul  kī  chādar  bichhānā  hai  mujhe
apne  shahzādoñ  ko  kāñToñ  par  chalā  saktā  nahīñ
kuchh  banānā  chāhtā  huuñ  aur  ban  jaatā  hai  kuchh
maiñ  ḳhud  apne  ghar  ko  naqshe  se  milā  saktā  nahīñ