ab  na  vo  shāḳh  hai  na  patthar  hai
kab  se  jañgal  meñ  koī  be-ghar  hai
koī  saaya  nazar  nahīñ  aatā
jab  se  āñkhoñ  meñ  ek  paikar  hai
haañ  kabhī  ghūmtī  rahī  hogī
ab  zamīñ  be-niyāz-e-mehvar  hai
zahr  piine  koī  nahīñ  aatā
kitnā  be-tāb  ye  samundar  hai
ruuTh  kar  chal  diye  na.e  raahī
sar  jhukā.e  khaḌā  sanobar  hai
muḌ  ke  dekho  to  sañg  ho  jaao
aur  aage  baḌho  samundar  hai
apnā  shīsha  liye  kahāñ  jā.ūñ
shahr  kā  shahr  saarā  patthar  hai