maiñ  to  saaya  huuñ  ghaTāoñ  se  utarne  vaalā
hai  koī  pyaas  ke  sahrā  se  guzarne  vaalā
tū  samajhtā  hai  mujhe  harf-e-mukarrar  lekin
maiñ  sahīfa  huuñ  tire  dil  pe  utarne  vaalā
tū  mujhe  apnī  hī  āvāz  kā  pāband  na  kar
maiñ  to  naġhma  huuñ  fazāoñ  meñ  bikharne  vaalā
ai  badalte  hue  mausam  ke  gurezāñ  paikar
aks  de  jā  koī  āñkhoñ  meñ  Thaharne  vaalā
maiñ  huuñ  dīvār  pe  likkhā  huā  kab  se  lekin
koī  paḌhtā  nahīñ  raste  se  guzarne  vaalā
jā  rahā  hai  tire  hoñToñ  kī  tamannā  le  kar
zindagī-bhar  tirī  āvāz  pe  marne  vaalā