shāyad  mirī  fariyād  sunā.ī  nahīñ  detī
qudarat  jo  mujhe  hukm-e-rihā.ī  nahīñ  detī
thā  pahle  bahut  shor  nihāñ-ḳhāna-e-dil  meñ
ab  to  koī  siskī  bhī  sunā.ī  nahīñ  detī
ḳhvāboñ  kī  tijārat  meñ  yahī  ek  kamī  hai
chaltī  hai  dukāñ  ḳhuub  kamā.ī  nahīñ  detī
har  tār-e-nafas  hai  mut.harrik  mutvātir
ruḳhsat  hī  mujhe  naġhma-sarā.ī  nahīñ  detī
kyā  dhund  hai  ashkoñ  kī  musallat  dil  o  jaañ  par
dekhī  huī  duniyā  bhī  dikhā.ī  nahīñ  detī
chalne  ko  to  sab  yaar  kamar-basta  khaḌe  haiñ
jis  raah  pe  chalnā  hai  sujhā.ī  nahīñ  detī
kāñToñ  pe  chalātī  hai  koī  aur  hī  lazzat
vahshat  kā  sila  ābla-pā.ī  nahīñ  detī
maiñ  qaid-e-mahālāt  se  dam  bhar  meñ  nikal  jā.ūñ
hāsil  kī  havas  mujh  ko  rihā.ī  nahīñ  detī
maiñ  apnī  hī  miTTī  se  banā  letā  huuñ  'mid.hat'
vo  chiiz  jo  auroñ  kī  ḳhudā.ī  nahīñ  detī