Midhat-ul-Akhtar

tishnagi apni bujhane ke liye jab gae hain

Midhat-ul-Akhtar

Nagpur, Maharashtra, India

1945
tishnagī apnī bujhāne ke liye jab ga.e haiñ
dasht bechāre samundar ke tale dab ga.e haiñ
kuuch karne kī ghaḌī hai magar ai ham-safro
ham udhar jā nahīñ sakte jidhar sab ga.e haiñ
ġhair shāista-e-ādāb-e-mohabbat na sahī
ham tire hijr ke āzār meñ mar kab ga.e haiñ
ab koī aks hai sālim na kisī kā chehra
ā.īna-ḳhāne meñ kyā dekhne sāhab ga.e haiñ
koī rasta na milā ghar se nikal kar ham ko
ham usī ku-e-malāmat ko ga.e jab ga.e haiñ
terī auqāt hī kyā 'mid.hat-ul-aḳhtar' sun le
shahr ke shahr zamīnoñ ke tale dab ga.e haiñ
Top Urdushayar.com