tishnagī  apnī  bujhāne  ke  liye  jab  ga.e  haiñ
dasht  bechāre  samundar  ke  tale  dab  ga.e  haiñ
kuuch  karne  kī  ghaḌī  hai  magar  ai  ham-safro
ham  udhar  jā  nahīñ  sakte  jidhar  sab  ga.e  haiñ
ġhair  shāista-e-ādāb-e-mohabbat  na  sahī
ham  tire  hijr  ke  āzār  meñ  mar  kab  ga.e  haiñ
ab  koī  aks  hai  sālim  na  kisī  kā  chehra
ā.īna-ḳhāne  meñ  kyā  dekhne  sāhab  ga.e  haiñ
koī  rasta  na  milā  ghar  se  nikal  kar  ham  ko
ham  usī  ku-e-malāmat  ko  ga.e  jab  ga.e  haiñ
terī  auqāt  hī  kyā  'mid.hat-ul-aḳhtar'  sun  le
shahr  ke  shahr  zamīnoñ  ke  tale  dab  ga.e  haiñ