vahāñ  kartā  rahūñgā  ab  yahāñ  kartā  rahūñgā
rahūñgā  maiñ  jahāñ  be-tābiyāñ  kartā  rahūñgā
kabhī  maiñ  āsmānoñ  ko  zamīñ  par  laad  dūñgā
kabhī  apnī  zamīñ  ko  āsmāñ  kartā  rahūñgā
milī  hai  zindagī  mujh  ko  to  kuchh  karnā  hī  hogā
yaqīñ  kartā  rahūñgā  yā  gumāñ  kartā  rahūñgā
milegā  mulk-e-ḳhūbī  yā  matā-e-sargirānī
maiñ  apne  naam  kā  sikka  ravāñ  kartā  rahūñgā
sunā.ūñgā  kabhī  qisse  purāne  ma.arakoñ  ke
kabhī  tasnīf  tāzoñ  dāstāñ  kartā  rahūñgā
karūñgā  kuchh  jatan  un  ko  misālī  bhī  banā.ūñ
agar  ābād  taaza  bastiyāñ  kartā  rahūñgā
maiñ  ḳhud  sāhil  pe  baiThūñgā  kinār-e-āfiyat  meñ
ijāre  par  safīnoñ  ko  ravāñ  kartā  rahūñgā
hameñ  ab  niiñd  meñ  bhī  jāgte  rahnā  paḌegā
ki  us  ne  kah  diyā  hai  imtihāñ  kartā  rahūñgā
agar  likhvāoge  ḳhat  us  ko  tum  mere  qalam  se
ye  ḳhidmat  muft  meñ  ai  mehrbāñ  kartā  rahūñgā
rahe  vo  gosh-bar-āvāz  yā  so  jaa.e  'mid.hat'
ye  merā  qissa-e-ġham  hai  bayāñ  kartā  rahūñgā