maiñ  dhund-fazāoñ  meñ  uḌā  bhī  huuñ  girā  bhī
thī  quvvat-e-parvāz  bhī  aur  ḳhauf-e-qazā  bhī
maiñ  apne  hī  zindān-e-tilismī  kā  zubūñ  thā
har-chand  tirī  sho.abada-kārī  se  bachā  bhī
laa.ī  hai  kahāñ  mujh  ko  tabī.at  kī  do-rañgī
duniyā  kā  talabgār  bhī  duniyā  se  ḳhafā  bhī
pā-basta-e-zanjīr-e-havā  chhūT  ga.e  haiñ
mauqūf  huā  silsila-e-qatl-e-navā  bhī
ḳhvābīda  lahū  bāzū-e-parvāz  meñ  jaagā
raushan  huī  dhundlā.ī  huī  zard  fazā  bhī
āñkheñ  haiñ  magar  ḳhvāb  se  mahrūm  haiñ  'mid.hat'
tasvīr  kā  rishta  nahīñ  rañgoñ  se  zarā  bhī