Yasmin Husaini Zaidi Nikhat

KHwab palkon pe meri aa ke machal jate hain

Yasmin Husaini Zaidi Nikhat

Azamgarh, Uttar pradesh, India

ḳhvāb palkoñ pe mirī aa ke machal jaate haiñ
yā kabhī ban ke guhar aañkh se Dhal jaate haiñ
mujh ko gosha koī mānūs sā jo lagtā hai
log dīvār pe tasvīr badal jaate haiñ
kal vo aalam thā ki ik jaan thī do qālib the
aaj ye hai ki vo katrā ke nikal jaate haiñ
ham ko tūfān-e-havādis kā koī ḳhauf nahīñ
ye jo aate haiñ to kuchh ham bhī bahal jaate haiñ
apne āñgan meñ vo sūraj ke tamannā.ī haiñ
jo diyā dekh ke hamsā.e kā jal jaate haiñ
maiñ suḳhnavar bhī nahīñ fan kā salīqa bhī nahīñ
zaḳhm haiñ dil ke jo naġhmāt meñ Dhal jaate haiñ
Top Urdushayar.com