Yasmin Husaini Zaidi Nikhat

meri aawaz ko na qaid karo

Yasmin Husaini Zaidi Nikhat

Azamgarh, Uttar pradesh, India

merī āvāz ko na qaid karo
azm-e-parvāz ko na qaid karo
hai ravish merī zaḳhm-e-dil likhnā
mere andāz ko na qaid karo
kisī anjām-e-bad ke ḳhadshe meñ
husn-e-āġhāz ko na qaid karo
tum nazar ko churā ke yuuñ mujh se
ik hasīñ raaz ko na qaid karo
hai muqayyad ye zaat rasmoñ meñ
dil-e-jāñ-bāz ko na qaid karo
Top Urdushayar.com