mujh  ko  vahshat  huī  mire  ghar  se
raat  terī  judā.ī  ke  Dar  se
terī  furqat  kā  habs  thā  andar
aur  dam  ghuT  rahā  thā  bāhar  se
jism  kī  aag  bujh  ga.ī  lekin
phir  nadāmat  ke  ashk  bhī  barse
ek  muddat  se  haiñ  safar  meñ  ham
ghar  meñ  rah  kar  bhī  jaise  beghar  se
bār-hā  terī  justujū  meñ  ham
tujh  se  milne  ke  ba.ad  bhī  tarse