us shaam ko jab ruuTh ke meñ ghar se chalā thā
ik saaya bhī bichhḌe hue manzar se chalā thā
ab āsmāñ hāthoñ meñ hai pairvī meñ zamīñ hai
maiñ be sar-o-sāmān tire dar se chalā thā
be-bas use kar degī havāoñ kī siyāsat
bādal kā vo TukḌā jo samundar se chalā thā
dene lagā ākāsh ke darvāzoñ pe dastak
insān kā vo daur jo patthar se chalā thā
us shaḳhs kī shohrat ko na paimāna banāo
khoTā thā vo sikka jo muqaddar se chalā thā